Tuesday, August 23, 2011

PRANDHAN JEEVAN KUNJ BIHARI


He praneshwar Kunjbihari Shree Krishna Tum hi mere Jeevan Sarvasva ho. Humhara tumhara yah sambandh sada se hai evam sada rahega ( Agyantavash me iss sambandh ko bhul gaya). Tum chahe mera alingan karke mujhe apne gale se lagate hue, meri anadi kal ki iccha purna karo, chahe udaseen banker muje tadpate raho, chahe pairo se thokar mar-markar mera sarvatha parityag kar do. Praneshwar ! Tumhe jis-jis prakar se bhi Sukh mile, vahi karo me tumhari har iccha me prasan rahunga. Shree Kripaluji Kehte hai ki Nishkam Prem ka swaroop hi yahi hai ki apni icchao ko na dekhte hue, Priyatam ki prasanta me hi prasan raha jai. Apne swarth ke liye Priyatam se badla pane ki Bhavna se Prem karna vyavhar jagat ka natkiya Vyapar hai.

No comments:

Post a Comment

Search This Blog